Wednesday 29 May 2013

Shankar Mahadevan's Breathless

i love this song by heart.. Shankar Mahadevan's Breathless ::
You guys too enjoy!!


Koi jo mila to mujhe aisa lagta tha
jaise meri saari duniya main geeton ki rut
aur rangon ki barkha hai khushbu ki aakdhi hai
mahki hui si ab saari fizaayen hain
bahki hui si ab saari hawaayen hain
khoyi hui si ab saari dishaayen hain
badli hui se ab saari adaayen hain
jaagi ummengein hain, dhadak raha ahi dil
saason main toofaan hain, hoton pe nagme hain
aakhon main sapne hain, sapnon main beete
hue saare vo lamhe hain
jab koi aaya tha, nazron pe chhaya tha
dil main samaya tha, kaise main bataun tumhe
kaise use paaya tha, pyaare se chehre pe
bikhri jo julphen
to aisa lagta tha jaise kohre ke peechhe
ek os main dhula hua phool khila hai jaise
badal main ik chaand chhupa hai
aur jhaank raha hai jaise raat ke parde main
ek savera hai roshan roshan aakhon main
sapnon ka saagar jismain prem sitaron ki chaadar
jaise jhalak rahi hai
lahron lahron baat kare to jaise moti barse
jaise kahin chandi ki payal goonjey
jaise kahin sheeshe main jaam girey
aur chhann se tootey jaise koi chhip ke sitaar bajaye
jaise koi chaandni raat main gaye
jaise koi hole se paas bulaye
kaisi meethi baatain thee
vo kaisi mulakaatein thee vo jab maine jaana tha
nazron se kaise pighalte hain dil aur
aarzoo paati hai kaise manzil aur
kaise utarta hai chaand jameen par
kaise kabhi lagta hai swarg agar hai to bas hai yahin par
usne banaya mujhe, aur samjhaya mujhe
hum jo mile hain, hamain aise hi milna tha
gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha
janmo ke bandhan, janmo ke rishtey hain
jab bhi hum janme to hum yahin milte hain
kaanon main mere jaise, shahed sa ghulne lage
khwaabon ke dar jaise aakhon main khulne lage
khwaabon ki duniya bhi kitni haseen aur
kaisi rangeen thee khwaabon ki duniya
jo kahne ko thee par kahin bhi nahi thee
khwaab jo toote mere, aakh jo khuli meri
hosh jo aaya mujhe maine dekha maine jaana
vo jo kabhi aaya tha, nazron pe chhaya tha
dil main samaya tha, ja bhi chuka hai
aur dil mera ab hai tanha tanha
na to koi armaan hai, na koi tamanna hai
aur na koi sapna hai
ab jo mere din aur ab jo meri ratain hain
unmain sirf aansoon hain
unmain seif dard ki ranj ki batain hain
aur pharyaadein hain mera ab bhi koi nahi
main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain (3)

Main hun aur khoye hue pyar ki yaaden hai,
ab jo mere din aur ab jo meri raaten hain,
unme sirf ansoo hai, unme sirf dard ki ranj ki baaten hai,
aur fariyade hain, mera ab koi nahi,
main hun aur khoye
hue pyar ki yaaden hai,
doob gaya hai dil gam k andhere main,
meri sari dunia hai dard k ghere main,
mere saare geet dhale aahon main,
ban k deewana ab yahan wahan firta hun,
thokre khata hun,
un raahon main,jaha use dekha tha,
jaha use chaha tha,jahan main hasa tha
aur bad main roya tha,
jaha use paya tha,pa k khoya tha,
jahan kabhi phulon k kaliyon k saaye the,
rangeen rangeen,
mahki rutt ne,harik kadam par raas rachaye the,
gulshan gulshan din main ujale the,
jag-mag jag-mag noor tha raaton main,
jhilmil jhilmil jahan maine
khwabo ki dekhi thi manjil,
jahan meri kashti ne paya tha sahil,
jahan main pai thi palkon ki chhao,
jahan meri bahoon main kal thi
kisi ki marmari baahen,
jahan ek chehre se hat ti nahi meri nigahen,
jahan kal narmi hi narmi thi
pyar hi pyar tha baaton main,
haath the haathon main,
jahan kal gaaye the prem tarane,
jaha kal dekhe the sapne suhane
,kisi ko sunaye the dil k fasane,
jahan kal khayi thi jeene ki marne ki kasme,
todi thi dunia ki sari rasme,
jaha kal barsa tha preet ka badal,
jaahan maine thama tha koi anchal,
jaha pahli baar hua tha main pagal,
ab un rahoon main koi nahi hai,
ab hai wo rahen veera veera,
dil bhi jaise hairan hairan,
jaha kaha gaya mere sapno ka mela,
aise hi khyalo main khoya khoya,
ghum raha tha main kab se akela,
chamka sitara jaise koi gagan main,
gunji sadaa koi mann angan main,
Kisi ne pukara mujhe,mud k jo dekha maine,
mil gaya khoya hua dil ka sahara mujhe,
jise maine chaha tha,jise maine puja tha,
laut k aya hai,thoda sharminda hai,
thoda ghabraya hai,zulf pareshan hai,
kampte honth aur bhigi hui ankhen hai,
dekh raha hai mujhe gumsum gumsum,
uski najar jaise puch rahi ho,
itna bata do,kahi khafa to nahi tum,
pyar jo dekha fir meri nigaho main,
agle hi pal tha wo meri in baahon main,
bhool gaya mera dil jaise har gam,
badal gaya jaise dunia ka mausam,
jhume najare aur jhumi fijaye aur
jhume chaman aur jhumi hawaye,
jaise fir gaane lagi sari dishaye,
kitni haseen hai kitni suhani,
hum dono ki prem kahani (3)

No comments:

Post a Comment